Main Shair To Nahin Song Lyrics

Main Shair To Nahin

Main Shair To Nahin

Main shaayar to nahin
Magar ai hanseen
Jab se dekha main ne
tujh ko mujh ko
Shaayari aa gai

Mainn aashiq to nahin

Magar ai haseen

Jab se dekhaa main ne

tujh ko mujh ko

Aashiqi aa gai


Pyaar ka naam main

ne suna tha magar

Pyaar kya hai ye mujh

ko nahin thi khabar

Main to ulajha raha

ulajhanon ki tarah

Doston men raha

dushmanon ki tarah

Main dushman to nahin

Magar ai haseen

Jab se dekhaa main ne

tujh ko mujh ko

Dosti aa gai


Sochata hun agar

main dua maangata

Haath apane uthaakar

main kya maangata

Jab se tujh se muhabbat

main karane laga

Tab se aise ibaadat

main karane laga

Main qaafir to nahin

Magar ai haseen

Jab se dekha main ne

tujh ko mujh ko

Bandagi aa gai.