Mere Dil Mein Aaj Kya Hai Song Lyrics

Mere Dil Mein Aaj Kya Hai

Mere Dil Mein Aaj Kya Hai

Mere dil mein aaj kya hai

Tu kahe to main bata doon

Mere dil mein aaj kya hai

Tu kahe to main bata doon

Teri zulf phir sanwaroon

Teri maang phir saja doon

Mere dil mein aaj kya hai

Tu kahe to main bata doon


Mujhe devta banakar

Teri chahaton ne pooja

Mujhe devta banakar

Teri chahaton ne pooja

Mera pyaar keh raha hai

Main tujhe khuda bana doon

Mera pyaar keh raha hai

Main tujhe khuda bana doon

Mere dil mein aaj kya hai

Tu kahe to main bata doon


Koi dhoondhne bhi aaye

To hamein na dhoondh paaye

Koi dhoondhne bhi aaye

To hamein na dhoondh paaye

Tu mujhe kahin chhupa de

Main tujhe kahin chhupa doon

Tu mujhe kahin chhupa de

Main tujhe kahin chhupa doon

Mere dil mein aaj kya hai

Tu kahe to main bata doon


Mere baazuon mein aakar

Tera dard chain paaye

Mere baazuon mein aakar

Tera dard chain paaye

Tere gesuon mein chhup kar

Main jahan ke gham bhula doon

Tere gesuon mein chhup kar

Main jahan ke gham bhula doon


Teri zulf phir sanwaroon

Teri maang phir saja doon

Mere dil mein aaj kya hai

Tu kahe to main bata doon